raushnī ban ke añdhere pe asar ham ne kiyā
dasht-e-tanhā.ī se kyā ḳhuub guzar ham ne kiyā
bandish-e-hijr ko toḌā nahīñ tū ne aa kar
yaad kyā tujh ko nahīñ shaam o sahar ham ne kiyā
ik bayābāñ bhī milā muntazir-e-nūr-e-azal
dil kī vīrānī ko jab pesh-e-nazar ham ne kiyā
aur kuchh ho na sakā sūrat-e-darmāñ lekin
apnā dāman to sar-e-dīda-e-tar ham ne kiyā
dard ke maare hue log the ḳhvāboñ ke qarīb
kaise nādīda zamānoñ kā safar ham ne kiyā
ham ne dekhā hai vahāñ phir bhī ujālā 'rāshid'
saath rahte hue sab ke jahāñ ghar ham ne kiyā