log patthar ke the fariyād kahāñ tak karte
dil ke vīrāne ham ābād kahāñ tak karte
āḳhirash kar liyā miTTī ke haram meñ qayām
ḳhud ko ham ḳhānamāñ-barbād kahāñ tak karte
ek zindān-e-mohabbat meñ hue ham bhī asiir
ḳhud ko har qaid se āzād kahāñ tak karte
ḳhud pe mauqūf kiyā us kā faqat dars-e-visāl
har na.e dars ko ham yaad kahāñ tak karte
kar liyā ek bayābāñ ko musaḳhḳhar ham ne
roz tasvīr ko ījād kahāñ tak karte
log ḳhāmosh the isbāt o nafī ke mābain
aise māhaul meñ irshād kahāñ tak karte
har vajūd apne liye ek savālī thā 'tarāz'
ḳhud ko ham mā.il-e-ab.ād kahāñ tak karte