Rashid Taraz

raat aaKHir ho sitam-peshon pe aisa bhi nahin

Rashid Taraz

1958
raat āḳhir ho sitam-peshoñ pe aisā bhī nahīñ
vaqt ruk jaa.e kahīñ aa ke ye hotā bhī nahīñ
apne hone kī sazā kis ko milā kartī hai
kis ko ye zaḳhm dikhā.ūñ jo huvaidā bhī nahīñ
muntazir ā.īna-ḳhāne haiñ na jaane kis ke
shahr-e-timsāl meñ ab to koī chehra bhī nahīñ
tujh se mansūb the sab jaur sahe ham ne magar
pās-e-nāmūs-e-mohabbat thā pukārā bhī nahīñ
koī hāsil nahīñ is kār-e-junūñ kā 'rāshid'
kheltā aag se huuñ aur tamāshā bhī nahīñ
Top Urdushayar.com