Rashid Taraz

chaak-e-daman se gareban aur kitni dur hai

Rashid Taraz

1958
chāk-e-dāman se garebāñ aur kitnī duur hai
ai mirī vahshat bayābāñ aur kitnī duur hai
ai shab-e-ġham gardish-e-ayyām kī tujh ko qasam
kuchh batā sub.h-e-bahārāñ aur kitnī duur hai
aa gayā huuñ sarhad-e-imkān tak le kar lahū
jaane ab sehn-e-gulistāñ aur kitnī duur hai
āzmā.ish se guzartā jā rahā huuñ josh meñ
kyā pata dariyā-e-imkāñ aur kitnī duur hai
bosa-e-zanjīr merī āḳhirī manzil hai ab
dekhtā huuñ mujh se zindāñ aur kitnī duur hai
maiñ mashaqqat kar rahā huuñ ab zamīn-e-dil pe bhī
vo tirā aks-e-farozāñ aur kitnī duur hai
ruuh kī tathīr kar ke dekhte jaanā 'tarāz'
matla-e-anvār-e-irfāñ aur kitnī duur hai
Top Urdushayar.com