kabhī yuuñ bhī karo shahr-e-gumāñ tak le chalo mujh ko
jahāñ tak raushnī hai tum vahāñ tak le chalo mujh ko
bhaTaktā jā rahā huuñ rāh-rau miltā nahīñ koī
ġhubār-e-rāh mere kārvāñ tak le chalo mujh ko
ġham-e-āvārgī se maiñ shikasta hotā jaatā huuñ
parindo tum hī apne āshiyāñ tak le chalo mujh ko
ḳhamoshī jhel lī maiñ ne rihā.ī kī ghaḌī aa.ī
suḳhan ke vāste lafz-o-bayāñ tak le chalo mujh ko
kisī ta.abīr kī manzil se yā to āshnā kar do
nahīñ to phir usī ḳhvāb-e-girāñ tak le chalo mujh ko
'tarāz' ab to tahaffuz kī koī sūrat nahīñ miltī
mire rahbar kisī jā-e-amāñ tak le chalo mujh ko