Rashid Taraz

mili hai kaise gunahon ki ye saza mujhko

Rashid Taraz

1958
milī hai kaise gunāhoñ kī ye sazā mujh ko
Darātā rahtā hai apnā hī ā.īna mujh ko
maiñ kis fasāne kā hissa huuñ kah nahīñ saktā
vajūd apnā bhī lagtā hai vāqi.a mujh ko
ab āsmāñ kī chalo had talāsh kī jaa.e
bulā rahā hai sitāroñ kā qāfila mujh ko
maiñ kā.enāt pe apnī nigāh Dāltā huuñ
tire ḳhayāl kī miltī hai jab ziyā mujh ko
salām kartā huuñ ra.anā.ī-e-hayāt tujhe
ab aur koī tamāshā nahīñ dikhā mujh ko
tirī ḳhamoshī meñ muzmar hai merā rāz-e-suḳhan
ki be-zabān na kar de tirī sadā mujh ko
vahī aziim hai jo bāñTtā ho dard-e-vajūd
usī ke vasl kā 'rāshid' hai aasrā mujh ko
Top Urdushayar.com