Rashid Taraz

ruh ke zaKHm ko lazim hai nihan ho jaana

Rashid Taraz

1958
ruuh ke zaḳhm ko lāzim hai nihāñ ho jaanā
ġhair-mumkin hai us ik shai kā bayāñ ho jaanā
ḳhuun de kar bhī unheñ kaise bachāyā jaatā
jin charāġhoñ kā muqaddar thā dhuāñ ho jaanā
dekhtā rah gayā vīrāna-e-hastī meñ koī
apne zaḳhmoñ kā bahārāñ kī zabāñ ho jaanā
chalnā paḌtā hai har ik raah meñ ik umr 'tarāz'
itnā āsāñ nahīñ manzil kā nishāñ ho jaanā
Top Urdushayar.com