Rashid Taraz

kin sarabon ka muqaddar huin aankhen meri

Rashid Taraz

1958
kin sarāboñ kā muqaddar huiiñ āñkheñ merī
justujū kar ke jo patthar huiiñ āñkheñ merī
kuchh na tham paayā hai is sail-e-ravāñ ke aage
kaise ashkoñ kā samundar huiiñ āñkheñ merī
ḳhuun rone ke sivā kuchh nahīñ baaqī in meñ
kaise āsūda-e-ḳhanjar huiiñ āñkheñ merī
kabhī anvār ko mil paatā nahīñ in meñ faroġh
kyā zamīñ chhoḌ ke banjar huiiñ āñkheñ merī
tere irfān kī ye kaun sī manzil hai ḳhudā
phir na.e ḳhākoñ kā mehvar huiiñ āñkheñ merī
roz ik hādsa is meñ bhī samā jaatā hai
jīte-jī kaisā ye mahshar huiiñ āñkheñ merī
miT ga.e aks bhī yādoñ kī tarah un meñ 'tarāz'
nā-murādī kā vo manzar huiiñ āñkheñ merī
Top Urdushayar.com