apne hone kā koī saaz nahīñ detī hai
ab to tanhā.ī bhī āvāz nahīñ detī hai
jaane ye kaun sī manzil hai shanāsā.ī kī
zāt-e-mutlaq koī e.ajāz nahīñ detī hai
apnī uftād tabī.at kā gilā kyā ho ki jo
ḳhvāhishoñ ko par-e-parvāz nahīñ detī hai
sā.at-e-ḳhūbī guzar jaatī hai aate jaate
par ye tahrīk-e-tag-o-tāz nahīñ detī hai
jaane kyuuñ apnī anā dahr se qurbat ke liye
koī parvāna-e-āġhāz nahīñ detī hai
raat mere liye gintī hai 'tarāz' apne nujūm
mere hone kā magar raaz nahīñ detī hai