Ehsan Danish

rahe jo zindagi mein zindagi ka aasra ho kar

Ehsan Danish

Shamli, Uttar pradesh, India

1915-1982
rahe jo zindagī meñ zindagī kā aasrā ho kar
vahī nikle sarīr-ārā qayāmat meñ ḳhudā ho kar
haqīqat-dar-haqīqat but-kade meñ hai na kaabe meñ
nigāh-e-shauq dhoke de rahī hai rahnumā ho kar
ma.āl-e-kār se gulshan kī har pattī laraztī hai
ki āḳhir rañg-o-bū uḌ jā.eñge ik din havā ho kar
abhī kal tak javānī ke ḳhumistāñ the nigāhoñ meñ
ye duniyā do hī din meñ rah ga.ī hai kyā se kyā ho kar
mire sajdoñ kī yā rab tishna-kāmī kyuuñ nahīñ jaatī
ye kyā be-e'tinā.ī apne bande se ḳhudā ho kar
sirisht-e-dil meñ kis ne kuuT kar bhar dī hai betābī
azal meñ kaun yā rab mujh se baiThā thā ḳhafā ho kar
ye pichhlī raat ye ḳhāmoshiyāñ ye Dūbte taare
nigāh-e-shauq bahkī phir rahī hai iltijā ho kar
balā se kuchh ho ham 'ehsān' apnī ḳhū na chhoḌeñge
hamesha be-vafāoñ se mileñge bā-vafā ho kar
Top Urdushayar.com