zindagī meñ us ko kaif-e-zindagī hāsil nahīñ
jis kā dil rāz-o-niyāz-e-ishq ke qābil nahīñ
husn ke parde meñ ho saktā nahīñ hargiz qarār
roz-e-avval se ye lailā ḳhūgar-e-mahmil nahīñ
qadr kar dil kī ki dargāh-e-ḳhudā meñ ai nadīm
do-jahāñ kī ne.amateñ hāzir haiñ lekin dil nahīñ
hoshiyār ai mast-o-madhosh-e-javānī hoshiyār
ishq vo dariyā hai jo minnat-kash-e-sāhil nahīñ
zabt-e-nāla zabt-e-girya zabt-e-ulfat zabt-e-shauq
kis tarah kah duuñ ki ye āsāniyāñ mushkil nahīñ
apnā rasta apnī dhun apnā tasavvur apnā shauq
koī bhī rahbaro yahāñ begāna-e-manzil nahīñ
hai tasavvur ishrat-e-māzī kā ā.īna-ba-dast
dil vahī dil hai magar vo garmī-e-mahfil nahīñ
der kyā hai aa mire dil meñ samā jā barq-e-nāz
shikva-sanjī fitrat-e-ehsān meñ dāḳhil nahīñ
iltimās-e-shauq par 'ehsān' mahshar Dah gayā
un kā sharmā kar ye kahnā maiñ tire qābil nahīñ