banā deñgī duniyā ko ik din sharābī
ye bad-mast āñhkeñ ye Dore gulābī
haiñ qasr-e-mohabbat ke me.amār donoñ
nigāhoñ kā dhokā diloñ kī ḳharābī
ye kufr-e-mujassam ye zuhd-e-sarāpā
ye gunjān gesū ye rū-e-kitābī
har ik shai meñ tum muskurāte ho goyā
hazāroñ hijāboñ meñ ye be-hijābī
abhī tak nigāhoñ pe chhā.ī huī hai
vo mastī meñ Duubī huī nīm-ḳhvābī
abas ishq ko intizār-e-asar hai
asar tak kahāñ aah kī bāryābī
ba-juz us ke 'ehsān' ko kyā samajhiye
bahāroñ meñ khoyā huā ik sharābī