rānā.i-e-kaunain se be-zār hamīñ the
ham the tire jalvoñ ke talabgār hamīñ the
hai farq talabgār o parastār meñ ai dost
duniyā thī talabgār parastār hamīñ the
is banda-navāzī ke tasadduq sar-e-mahshar
goyā tirī rahmat ke sazā-vār hamīñ the
de de ke nigāhoñ ko tasavvur kā sahārā
rātoñ ko tire vāste bedār hamīñ the
bazār-e-azal yuuñ to bahut garm thā lekin
le de ke mohabbat ke ḳharīdār hamīñ the
khaTke haiñ tire saare gulistāñ kī nazar meñ
sab apnī jagah phuul the ik ḳhaar hamīñ the
haañ aap ko dekhā thā mohabbat se hamīñ ne
jī saare zamāne ke gunahgār hamīñ the
hai aaj vo sūrat ki banā.e nahīñ bantī
kal naqsh-e-do-ālam ke qalamkār hamīñ the
pachhtāoge dekho hameñ begāna samajh kar
mānoge kisī vaqt ki ġham-ḳhvār hamīñ the
arbāb-e-vatan ḳhush haiñ hameñ dil se bhulā kar
jaise nigah o dil pe bas ik baar hamīñ the
'ehsān' hai be-sūd gila un kī jafā kā
chāhā thā unheñ ham ne ḳhatā-vār hamīñ the