rañg-e-tahzīb-o-tamaddun ke shanāsā ham bhī haiñ
sūrat-e-ā.īna marhūn-e-tamāshā ham bhī haiñ
haal o mustaqbil kā kyā ham ko sabaq dete haiñ aap
is qadar to vāqif-e-imroz-o-fardā ham bhī haiñ
bā-dil-e-nā-ḳhvāsta hañste haiñ duniyā ke liye
varna sach ye hai pashemān-e-tamannā ham bhī haiñ
kuchh safīne haiñ ki tūfāñ se hai jin kā sāz-bāz
dekhne vāloñ meñ ik bairūn-e-dariyā ham bhī haiñ
dekhnā hai dekh lo uThtī huī mahfil kā rañg
subah ke bujhte charāġhoñ kā sambhālā ham bhī haiñ
kāġhzī malbūs meñ ubhrī hai har shakl-e-hayāt
ret kī chādar pe ik naqsh-e-kaf-e-pā ham bhī haiñ
jā-ba-jā bikhre nazar aate haiñ āsār-e-qadīm
pī ga.iiñ jis ko guzargāheñ vo dariyā ham bhī haiñ
us haram kī zeb-o-zīnat ko ḳhudā rakkhe magar
mujrimān-e-ahd-o-paimān-e-kalīsā ham bhī haiñ
ham se gūñjā hai adam-ābād kā dasht-e-sukūt
ālam-e-arvāh kā pahlā dhamākā ham bhī haiñ
ham jab uTh jā.eñge ye uqda bhī hal ho jā.egā
raunaq-e-mahfil charāġhoñ ke alāva ham bhī haiñ
ḳhaak kyuuñ hotā nahīñ jal kar hisār-e-āb-o-gil
ye agar sach hai tire jalvoñ kā parda ham bhī haiñ
ham pe jaane kaun sā tūfān thopā jā.egā
jaane kis ta.azīr kī ḳhātir gavārā ham bhī haiñ
ye sar-e-fihrist aur ehsān-'dānish' shādbāsh
mujrmoñ meñ aap ke nazdīk goyā ham bhī haiñ