Ehsan Danish

agar mohabbat ke muddai ho to ye rawayya rawa nahin hai

Ehsan Danish

Shamli, Uttar pradesh, India

1915-1982
agar mohabbat ke mudda.ī ho to ye ravayya ravā nahīñ hai
jo shikva hai rū-ba-rū nahīñ hai jo baat hai barmalā nahīñ hai
ye roz-e-tajdīd-e-ahd-e-ulfat ye roz paimān-e-dil-navāzī
hazār taslīm kar rahā huuñ magar yaqīn-e-vafā nahīñ hai
hai tere kāfir-shabāb se ḳhuub merī ma.asūm mai-gusārī
surūr kī ek had hai qaa.em ġhurūr kī intihā nahīñ hai
ajab nahīñ zahmat-e-vafā se mujhe kisī din najāt de de
yahī mirī be-zabāñ mohabbat jo dar-ḳhur-e-e'tinā nahīñ hai
na jaane kis kis se dil lagā kar vafā se māyūs ho chukā huuñ
nazar pareshān-e-shash-jihat hai koī bhī dard-āshnā nahīñ hai
jatā ke majbūrī-e-mohabbat umīd-e-mehr-o-vafā ke ma.anī
maiñ ḳhud huuñ apnā sukūn-e-dushman kisī kī koī ḳhatā nahīñ hai
bajā bajā be-shumār aariz nazar nazar ko taras rahe haiñ
magar ye dil kā mo.āmla hai nigāh kā vāsta nahīñ hai
Top Urdushayar.com