Ehsan Danish

wafa ka ahd tha dil ko sambhaalne ke liye

Ehsan Danish

Shamli, Uttar pradesh, India

1915-1982
vafā kā ahd thā dil ko sambhālne ke liye
vo hañs paḌe mujhe mushkil meñ Dālne ke liye
bañdhā huā hai bahāroñ kā ab vahīñ tāñtā
jahāñ rukā thā maiñ kāñTe nikālne ke liye
koī nasīm kā naġhma koī shamīm kā raag
fazā ko amn ke qālib meñ Dhālne ke liye
ḳhudā na karda zamīñ paañv se agar khiskī
baḌheñge tund bagūle sambhālne ke liye
utar paḌe haiñ kidhar se ye āñdhiyoñ ke julūs
samundaroñ se jazīre nikālne ke liye
tire salīqa-e-tartīb-e-nau kā kyā kahnā
hamīñ the qarya-e-dil se nikālne ke liye
kabhī hamārī zarūrat paḌegī duniyā ko
diloñ kī barf ko sho.aloñ meñ Dhālne ke liye
ye sho.abde hī sahī kuchh fusūñ-garoñ ko bulāo
na.ī fazā meñ sitāre uchhālne ke liye
hai sirf ham ko tire ḳhāl-o-ḳhad kā andāza
ye aa.ine tū haiñ hairat meñ Dālne ke liye
na jaane kitnī masāfat se aa.egā sūraj
nigār-e-shab kā janāza nikālne ke liye
maiñ pesh-rau huuñ isī ḳhaak se ugeñge charāġh
nigāh-o-dil ke ufuq ko ujālne ke liye
fasīl-e-shab se koī haath baḌhne vaalā hai
fazā kī jeb se sūraj nikālne ke liye
kuñ.eñ meñ pheñk ke pachhtā rahā huuñ ai 'dānish'
kamand thī jo mināroñ par Dālne ke liye
Top Urdushayar.com