Ehsan Danish

kahan mahfil mein mujh tak baada-e-gulfam aata hai

Ehsan Danish

Shamli, Uttar pradesh, India

1915-1982
kahāñ mahfil meñ mujh tak bāda-e-gulfām aatā hai
jo merā naam aatā hai to ḳhālī jaam aatā hai
na aao tum to phir kyuuñ hichkiyoñ par hichkiyāñ aa.eñ
inheñ roko ye kyuuñ paiġhām par paiġhām aatā hai
ye sāvan ye ghaTā ye bijliyāñ ye TūTtī rāteñ
bhalā aise meñ dil vāloñ ko kab ārām aatā hai
adab ai jazba-e-bebāk ye āh-o-fuġhāñ kaisī
ki aisī zindagī se maut par ilzām aatā hai
madad ai marg-e-nākāmī naqāhat kā ye aalam hai
baḌī mushkil se hoñToñ tak kisī kā naam aatā hai
ḳhudā rakkhe tujhe ai sar-zamīn-e-shahr-e-ḳhāmoshāñ
yahīñ aa kar har ik bechain ko ārām aatā hai
ma.āz-allāh mirī āñkhoñ kā izhār-e-tañg-zarfī
Tapak paḌte haiñ aañsū jab tumhārā naam aatā hai
zamāne meñ nahīñ dil-dāda-e-mehr-o-vafā koī
tujhe dhokā hai ai dil kaun kis ke kaam aatā hai
Top Urdushayar.com