hausle māyūs zauq-e-justujū nākām hai
ye dil-e-nā-mahram-e-anjām kā anjām hai
aañkh kyā hai husn kī rañgīniyoñ kā aa.ina
dil hai kyā ḳhūn-e-tamannā kā chhalaktā jaam hai
dījiye bīmār-e-ulfat kī jigar-dārī kī daad
naza.a kā aalam hai hoñToñ par tumhārā naam hai
phir vo yaad aa.e huī mad.hosh dil kī kā.enāt
phir uThā dard-e-jigar phir kuchh mujhe ārām hai
ḳhāk-dān-e-dahr meñ taskīn kā juuyā na ho
aah jab tak dil dhaḌaktā hai kahāñ ārām hai
vo to dil meñ dard kī duniyā basā kar chal diye
mujh ko har tār-e-nafas ik maut kā paiġhām hai
vāsil-e-mizrāb-e-ḳhāmoshī hai har tār-e-nafas
us se kah do ab tire bīmār ko ārām hai
kar rahā huuñ dostoñ ke zo.am par tark-e-vatan
shāyad ab āġhāz-e-daur-e-gardish-e-ayyām hai