Ehsan Danish

nazar fareb-e-qaza kha gai to kya hoga

Ehsan Danish

Shamli, Uttar pradesh, India

1915-1982
nazar fareb-e-qazā khā ga.ī to kyā hogā
hayāt maut se Takrā ga.ī to kyā hogā
ba-zom-e-hosh tajallī kī justujū be-sūd
junūñ kī zad pe ḳhirad aa ga.ī to kyā hogā
na.ī sahar ke bahut log muntazir haiñ magar
na.ī sahar bhī jo kajlā ga.ī to kyā hogā
na rahnumāoñ kī majlis meñ le chalo mujh ko
maiñ be-adab huuñ hañsī aa ga.ī to kyā hogā
shabāb-e-lāl-o-gul ko pukārne vaalo
ḳhizāñ-sarisht bahār aa ga.ī to kyā hogā
ḳhushī chhanī hai to ġham kā bhī e'timād na kar
jo ruuh ġham se bhī uktā ga.ī to kyā hogā
ye fikr kar ki in āsūdgī ke dhokoñ meñ
tirī ḳhudī ko bhī maut aa ga.ī to kyā hogā
laraz rahe haiñ jigar jis se kohsāroñ ke
agar vo lahr yahāñ aa ga.ī to kyā hogā
vo maut jis kī ham 'ehsān' sun rahe haiñ ḳhabar
rumūz-e-zīst bhī samjhā ga.ī to kyā hogā
Top Urdushayar.com