Ehsan Danish

mere miTane ki tadbir thi hijab na tha

Ehsan Danish

Shamli, Uttar pradesh, India

1915-1982
mire miTāne kī tadbīr thī hijāb na thā
vagarna kaun se din husn be-naqāb na thā
agarche nāzkash-e-esāġhar-e-sharāb na thā
ḳhumār-ḳhāne meñ mujh sā koī ḳharāb na thā
khulā tilism-e-tamannā to khul gayā ye bhī
ki ik fareb-e-nazar thā tirā shabāb na thā
ḳhayāl-e-dost tirī jalva-tābiyoñ kī qasam
jo tū na thā mirī duniyā meñ āftāb na thā
tire firāq kī rāteñ thiiñ is qadar maġhmūm
ki dāġh-e-ḳhātir-e-mahzūñ thā māhtāb na thā
burā ho nāla-e-paiham kā kuchh dinoñ pahle
ḳhamosh raat ke dil meñ ye pech-o-tāb na thā
nigāh milte hī ġhash khā ke gir paḌīñ nazreñ
thī ek barq-e-mushakkal tirā shabāb na thā
azal ke din se haiñ ham mast-e-jalva-e-sāqī
hamāre sāmne kis roz āftāb na thā
kuchh apne sāz-e-nafas kī na qadr kī tū ne
ki is rabāb se behtar koī rabāb na thā
dil-e-ḳharāb kā 'ehsān' ab ḳhudā-hāfiz
ḳharāb thā magar aisā kabhī ḳharāb na thā
Top Urdushayar.com