rumūz-e-be-ḳhudī samjhe na asrār-e-ḳhudī samjhe
baḌī shai hai agar apnī haqīqat aadmī samjhe
ziyā andar ziyā tanvīr dar tanvīr zau dar zau
koī āḳhir kahāñ tak rāz-hā-e-zindagī
nahīñ haTtī nazar anjām-e-ālam se nahīñ haTtī
use koī ḳhudī gardān le yā be-ḳhudī samjhe
bahut mushkil hai is me.aar kī rindī zamāne meñ
jo laġhzish ko gunah aur be-ḳhudī ko zindagī samjhe
jab ehsās-e-bulandī past kar detā hai fitrat ko
ye mushkil hai phir insāñ aadmī ko aadmī samjhe
junūñ ik manzil-e-be-nām ko tai kartā jaatā hai
kise fursat hai jo sūd-o-ziyān-e-zindagī samjhe
hameñ to muddatoñ se justujū hai aise insāñ kī
hamārī zindagī ko bhī jo apnī zindagī samjhe
jalā paatī hai is se ruuh dil bedār hotā hai
baḌī muddat meñ ham 'ehsān' qadr-e-muflisī samjhe