Ehsan Danish

mujhe puchha hai aa kar tumne us aKHlaq-e-kaamil se

Ehsan Danish

Shamli, Uttar pradesh, India

1915-1982
mujhe pūchhā hai aa kar tum ne us aḳhlāq-e-kāmil se
ki maiñ sharminda ho kar rah gayā andāza-e-dil se
nazar ke ruḳh ko yā to dil kī jānib pher lene do
nahīñ to sāmne aa jaao uTh kar parda-e-dil se
umīdeñ uTh rahī haiñ saikḌoñ ummīdvāroñ kī
maiñ tanhā huuñ magar tanhā nahīñ uTThūñgā mahfil se
amīr-e-kārvāñ jis raushnī ke bal pe baḌhtā hai
nikaltā hai vo taarā sub.h hote ḳhāk-e-manzil se
unheñ duniyā ab ashk-e-ġham kahe yā ḳhuun kī būñdeñ
mohabbat ne charāġh āñkhoñ meñ lā kar rakh diye dil se
ab us nañg-e-mohabbat se kināra bhī to mushkil hai
mujhe jis kī mohabbat kā yaqīñ aayā thā mushkil se
abhī to shaam hai āġhāz hai parvāna-sozī kā
koī is sham.a ko āgāh kar do sub.h-e-mahfil se
abhī tahqīq behtar hai ki phir shikva abas hogā
ki mīr-e-kārvāñ vāqif nahīñ ādāb-e-manzil se
miTāne se kabhī naqsh-e-mohabbat miT nahīñ saktā
mirā afsāna niklegā tirī rūdād-e-mahfil se
ġhanīmat hai nazar raushan hai dil ab tak dhaḌaktā hai
mohabbat meñ to ye āsāniyāñ miltī haiñ mushkil se
ufuq ke aa.ine meñ ho na ho dhāre ke saa.e meñ
nazar aatī haiñ tūfānoñ kī sarhad jaise sāhil se
tirā jalva to kyā tū ḳhud bhī tafrīh-e-nazar hotā
mirī āñkhoñ ne ab tak bhiik māñgī hī nahīñ dil se
sitam kī āḳhirī manzil pe iz.hār-e-pashemānī
nikal aate haiñ aañsū yuuñ to har dukhte hue dil se
maiñ ik zarra huuñ lekin vus.at-e-sahrā se vāqif huuñ
uThā saktā nahīñ ḳhud mīr-e-mahfil mujh ko mahfil se
tahayya kar liyā tañg aa ke go tark-e-ta.alluq kā
magar ab fikr hai ye ḳhat unheñ likkheñge kis dil se
mujhe 'ehsān' mere qāfile vāloñ ne ab samjhā
ki ye zarra sitārā ban gayā taqdīr-e-manzil se
Top Urdushayar.com