ishq kī duniyā meñ ik hañgāma barpā kar diyā
ai ḳhayāl-e-dost ye kyā ho gayā kyā kar diyā
zarre zarre ne mirā afsāna sun kar daad dī
maiñ ne vahshat meñ jahāñ ko terā shaidā kar diyā
tuur par rāh-e-vafā meñ bo diye kāñTe kalīm
ishq kī vus.at ko masdūd-e-taqāzā kar diyā
bistar-e-mashriq se sūraj ne uThāyā apnā sar
kis ne ye mahfil meñ zikr-e-husn-e-yaktā kar diyā
chashm-e-nargis jā-e-shabnam ḳhuun ro.egī nadīm
maiñ ne jis din gulsitāñ kā raaz ifshā kar diyā
qais ye merāj-e-ulfat hai ki ejāz-e-junūñ
najd ke har zarre ko tasvīr-e-lailā kar diyā
mudda.ā-e-dil kahūñ 'ehsān' kis ummīd par
vo jo chāheñge kareñge aur jo chāhā kar diyā