Ehsan Danish

mil mil ke doston ne wo di hai dagha mujhe

Ehsan Danish

Shamli, Uttar pradesh, India

1915-1982
mil mil ke dostoñ ne vo dī hai daġhā mujhe
ab ḳhud pe bhī nahīñ hai gumān-e-vafā mujhe
uf ibtidā-e-shauq kī ma.asūm justujū
har phuul thā chaman meñ tirā naqsh-e-pā mujhe
ai khiñchne vaale dekh mirī be-panāhiyāñ
aatī hai dushmanoñ se bhī bū-e-vafā mujhe
duniyā tumheñ aziiz hai mere sivā magar
aalam hai nā-pasand tumhāre sivā mujhe
kartī nahīñ ubuur tumheñ merī justujū
kyā kar diyā hai tum ne ye kyā ho gayā mujhe
vaz.an bhī hañs paḌā huuñ to phir dil se muddatoñ
aa.ī karāhne kī sadā par sadā mujhe
phir baat baat meñ hai lachak iltifāt kī
kyā phir dikhāoge koī ḳhvāb-e-vafā mujhe
ye hai fuġhāñ kā zor to phir vo chukā qafas
kar degī merī sho.ala-navā.ī rihā mujhe
kotāhī-e-nazar se ahāta na ho sakā
milne ko yuuñ milā hai butoñ meñ ḳhudā mujhe
merī vafā pe aap hī chīñ-bar-jabīñ nahīñ
maiñ ḳhud bhī sochtā huuñ ye kyā ho gayā mujhe
jis mudda.ā-e-shauq kī daryāft haiñ huzūr
māyūs kar rahā hai vahī mudda.ā mujhe
ik ziiq ik azaab ik andoh ik taḌap
tum ne ye dil ke naam se kyā de diyā mujhe
un ko gañvā ke haal rahā hai ye muddatoñ
aayā ḳhayāl bhī to baḌā ġham huā mujhe
iflās ke shabāb-e-muqaddas meñ bārhā
aayā hai pūchhne mire ghar par ḳhudā mujhe
'ehsān' apne vaqt pe maut aa.egī magar
jiine kā mashvara nahīñ detī fazā mujhe
Top Urdushayar.com