Ehsan Danish

tera jamal tera husn kaamgar rahe

Ehsan Danish

Shamli, Uttar pradesh, India

1915-1982
tirā jamāl tirā husn kāmgār rahe
vo kyā kare na jise dil pe iḳhtiyār rahe
hazār kasrat-e-rā.anā ne chilmaneñ Dālīñ
ba-har-hijāb-e-ta.ayyun vo āshkār rahe
mirī nazar kā to kyā zikr ḳhud bahār ke phuul
fareb-ḳhurda-e-rañgīnī-e-bahār rahe
kisī maqām pe dil ko sukūñ ho kyā ma.anī
jo be-qarār-e-azal hai vo be-qarār rahe
usī navāh meñ ahl-e-nazar bhī mumkin haiñ
kuchh aur der sar-e-tūr intizār rahe
tamām phuul the aur zarf-e-dāman-e-gulchīñ
jo bach ga.e vo charāġh-e-shab-bahār rahe
mirī nigāh meñ hai vo harīm-e-zebā.ī
kanīz ban ke jahāñ mariyam-e-bahār rahe
ḳhizāñ ḳhizāñ ho to daur-e-bahār kyā ma.anī
bahār ho to ḳhizāñ kyuuñ bane bahār rahe
jahān-e-husn ke asrār pā nahīñ saktā
jo ishq apnī hadoñ tak hī be-qarār rahe
mirī nazar se vo jalve na rah sake mastūr
jo zer-e-parda-e-pairāhan-e-bahār rahe
chhuḌā chukā huuñ maiñ dast-e-majāz se dāman
haqīqat apne hijāboñ se hoshiyār rahe
maiñ moḌtā huuñ isī ruḳh se kārvāñ apnā
kuchh aur der ufuq par abhī ġhubār rahe
junūn-e-shauq meñ tahqīq-e-rañg-o-bū kaisī
rahe chaman meñ to dīvāna-e-bahār rahe
haiñ is tarah ke zavābit bhī be-qarārī meñ
ki tere saath zamāna bhī be-qarār rahe
vo sirf mere haiñ 'ehsān' maiñ faqat un kā
hai nāgavār kisī ko to nāgavār rahe
Top Urdushayar.com