Ehsan Danish

ishq kab apne maqasid ka nigahban na hua

Ehsan Danish

Shamli, Uttar pradesh, India

1915-1982
ishq kab apne maqāsid kā nigahbāñ na huā
kaun sā ġham hai jo āḳhir ġham-e-jānāñ na huā
laakh chāhā magar afsos ki aañsū na thame
zabt-e-ġham mujh se ba-qadr-e-ġham pinhāñ na huā
terī ishrat hai ki gardūñ ke dabā.e na dabī
merā ġham hai ki hañsī meñ bhī numāyāñ na huā
ġham-e-duniyā ġham-e-uqbā ġham-e-hastī ġham-e-maut
koī ġham bhī to harīf-e-ġham-e-jānāñ na huā
zarre zarre se ye elān-e-pareshānī hai
mutma.in ḳhaak vo hogā jo pareshāñ na huā
jis ke dāman se hai vābasta mirā zauq-e-hayāt
vo bhī kāfir mire me.aar kā insāñ na huā
maiñ rahā garche har ehsās pe masrūf-e-sujūd
koī sajda bhī tirī shaan ke shāyāñ na huā
barf-zār-zor-o-daulat kā har afsurda zamīr
zamzamoñ se mire kab sho.ala-ba-dāmāñ na huā
barq nākām mah-o-mehr kavākib māyūs
na huā mere nasheman meñ charāġhāñ na huā
mere taḳhlīq-e-adab meñ hai qasīda mādūm
mujh se 'ehsān' kisī vaqt ye isyāñ na huā
Top Urdushayar.com