shab ḳhumār-e-husn-e-saqī hairat-e-mai-ḳhāna thā
aap hī mai aap hī ḳhum aap hī paimāna thā
ka.aba-o-dair kalīsā meñ abas DhūñDā kiye
dil kā har gosha maqām-e-jalva-e-jānāna thā
rañg laayā hai barā-e-dīda-e-anjām jo
sham.a har har zarra-e-ḳhāk-e-par-e-parvāna thā
ḳhāmī-e-zauq-e-nazar thī varna ai nākām-e-ishq
zarre zarre se numāyāñ jalva-e-jānāna thā
phir vahī saut-e-tarab-afzā bane firdaus-e-gosh
jis se ik aalam shahīd-e-naġhma-e-mastāna thā
diid ke qābil tamāshā thā ye hañgām-e-sahar
sham.a kā har saañs mahv-e-mātam-e-parvāna thā
fitna-e-mazhab bhī ḳhud-bīnī kā ik andāz hai
varna kis ko imtiyāz-e-masjid-o-but-ḳhāna thā