Ehsan Danish

wafaen kar ke jafaon ka gham uThae ja

Ehsan Danish

Shamli, Uttar pradesh, India

1915-1982
vafā.eñ kar ke jafāoñ kā ġham uThā.e jā
isī tarah se zamāne ko āzmā.e jā
kisī meñ apnī sifat ke sivā kamāl nahīñ
jidhar ishāra-e-fitrat ho sar jhukā.e jā
vo lau rabāb se niklī dhuāñ uThā dil se
vafā kā raag isī dhun meñ gungunā.e jā
nazar ke saath mohabbat badal nahīñ saktī
nazar badal ke mohabbat ko āzmā.e jā
ḳhudi-e-ishq ne jis din se khol diiñ āñkheñ
hai āñsuoñ kā taqāzā ki muskurā.e jā
nahīñ hai ġham to mohabbat kī tarbiyat nāqis
havādis aa.eñ to narmī se pesh aa.e jā
thī ibtidā meñ ye tādīb-e-muflisī mujh ko
ġhulām rah ke ġhulāmī pe muskurā.e jā
badal na raah ḳhirad ke fareb meñ aa kar
junūñ ke naqsh-e-qadam par qadam baḌhā.e jā
ummīd o yaas meñ jiinā hai ishq kā maqsūd
isī maqām-e-muqaddas pe tilmilā.e jā
chaman meñ fursat o taskīñ hai maut kā paiġhām
sukūñ pasand na kar āshiyāñ banā.e jā
yahī hai lutf-e-mohabbat yahī hai kaif-e-hayāt
haqīqatoñ kī binā par fareb khaa.e jā
vafā kā ḳhvāb hai 'ehsān' ḳhvāb-e-be-tābīr
vafā.eñ kar ke muqaddar ko āzmā.e jā
Top Urdushayar.com