parastish-e-ġham kā shukriya kyā tujhe āgahī nahīñ
tere baġhair zindagī dard hai zindagī nahīñ
dekh ke ḳhushk o zard phuul dil hai kuchh is tarah malūl
jaise mirī ḳhizāñ ke baad daur-e-bahār hī nahīñ
daur thā ik guzar chukā nasha thā ik utar chukā
ab vo maqām hai jahāñ shikva-e-be-ruḳhī nahīñ
ishrat-e-ḳhuld ke liye zāhid-e-kaj-nazar jhuke
mashrab-e-ishq meñ to ye jurm hai bandagī nahīñ
tere sivā karūñ pasand kyā tirī kā.enāt meñ
donoñ jahāñ kī nemateñ qīmat-e-bandagī nahīñ
laakh zamāna zulm Dhaa.e vaqt na vo ḳhudā dikhā.e
jab mujhe ho yaqīñ ki tū hāsil-e-zindagī nahīñ
dil kī shaguftagī ke saath rāhat-e-mai-kada ga.ī
fursat-e-mai-kashī to hai hasrat-e-mai-kashī nahīñ
ashk-e-ravāñ kī āb-o-tāb kar na avaam meñ ḳharāb
azmat-e-ishq ko samajh girya-e-ġham hañsī nahīñ
arsa-e-furqat-o-firāq aisā tavīl to na thā
bhuul rahe ho tum mujhe maiñ koī ajnabī nahīñ
zaḳhm pe zaḳhm khā ke jī apne lahū ke ghūñT pī
aah na kar laboñ ko sī ishq hai dil-lagī nahīñ
ek vo raat thī ki jab thā mire ghar vo māhtāb
ek ye raat hai ki ab chāñd hai chāndnī nahīñ
muzhda ki nā-murād-e-ishq terī ġhazal kā hai vo rañg
vo bhī pukār uThe ki ye sehr hai shā.irī nahīñ