baḳhsh dī hāl-e-zabūñ ne jalva-sāmānī mujhe
kaash mil jaa.e zamāne kī pareshānī mujhe
ai nigāh-e-dost ai sarmāya-dār-e-be-ḳhudī
hosh aatā hai to hotī hai pareshānī mujhe
khul chukā haañ khul chukā dil par tirā rañgīñ fareb
de na dhokā ai tilism-e-hasti-e-fānī mujhe
phir na sābit ho kahīñ nañg-e-bayābāñ jism-e-rāz
soch kar karnā junūñ maa.il ye uryānī mujhe
muntahā-e-zauq-e-sajda ye ki ik fareb
kufr tak le aa.ī takmīl-e-musalmānī mujhe
manziloñ 'ehsān' pīchhe rah ga.e dair o haram
le chalā jaane kahāñ sailāb-e-hairanī mujhe