kuchh log jo savār haiñ kāġhaz kī naav par
tohmat tarāshte haiñ havā ke dabāv par
mausam hai sard-mehr lahū hai jamāv par
chaupāl chup hai bhiiḌ lagī hai alaav par
sab chāñdnī se ḳhush haiñ kisī ko ḳhabar nahīñ
phāhā hai māhtāb kā gardūñ ke ghaav par
ab vo kisī bisāt kī fehrist meñ nahīñ
jin manchaloñ ne jaan lagā dī thī daav par
sūraj ke sāmne haiñ na.e din ke marhale
ab raat jā chukī hai guzishta paḌāv par
gul-dān par hai naram savere kī zard dhuup
halqa banā hai kāñptī kirnoñ kā ghaav par
yuuñ ḳhud-farebiyoñ meñ safar ho rahā hai tai
baiThe haiñ pul pe aur nazar hai bahāv par
mausam se saaz ġhairat-e-gulshan se be-niyāz
hairat hai mujh ko apne chaman ke subhāv par
kyā daur hai ki marham-e-zañgār kī jagah
ab chāra-gar sharāb chhiḌakte haiñ ghaav par
tājir yahāñ agar haiñ yahī ġhairat-e-yahūd
paanī bikegā ḳhūn-e-shahīdāñ ke bhaav par
pahle kabhī rivāj banī thī na be-hisī
nādim bigāḌ par haiñ na ḳhush meñ banāv par
har rañg se payām utarte haiñ ruuh meñ
paḌtī hai jab nigāh dhanak ke jhukāv par
'dānish' mire sharīk-e-safar haiñ vo kaj-mizāj
sāhil ne jin ko pheñk diyā hai bahāv par