jab ruḳh-e-husn se naqāb uThā
ban ke har zarra āftāb uThā
Duubī jaatī hai zabt kī kashtī
dil meñ tūfān-e-iztirāb uThā
marne vaale fanā bhī parda hai
uTh sake gar to ye hijāb uThā
shāhid-e-mai kī ḳhalvatoñ meñ pahuñch
parda-e-nashsha-e-sharāb uThā
ham to āñkhoñ kā nuur kho baiThe
un ke chehre se kyā naqāb uThā
ālam-e-husn-e-sādgī tauba
ishq khā khā ke pech-o-tāb uThā
hosh naqs-e-ḳhudī hai ai 'ehsān'
lā uThā shīsha-e-sharāb uThā