jab bhī ḳhalvat meñ vo yaad aa.egā
vaqt kā sail Thahar jā.egā
chāñd tum dekh rahe ho jis ko
ye bhī aañsū sā Dhalak jā.egā
ek do moḌ hī muḌ kar insāñ
bām-e-gardūñ kī ḳhabar lā.egā
maiñ ne dekhe haiñ chaman be-parda
koī gul kyā mire muñh aa.egā
husn se duur hī rahnā behtar
jo milegā vahī pachhtā.egā
aur kuchh der sitāro Thahro
us kā va.ada hai zarūr aa.egā
un kī zulfoñ kī mahak le 'dānish'
is dhundalke ko kahāñ pā.egā