Ehsan Danish

soz-e-junun ko dil ki ghiza kar diya gaya

Ehsan Danish

Shamli, Uttar pradesh, India

1915-1982
soz-e-junūñ ko dil kī ġhizā kar diyā gayā
ik zahr-e-jāñ-talab ko davā kar diyā gayā
nāsūr bhar sake na fuġhāñ zabt ho sakī
jab nai ko nīstāñ se judā kar diyā gayā
ahl-e-vafā meñ maut kī talḳhī ko sar-ba-sar
qañdāb-e-zindagī se sivā kar diyā gayā
azbar karā diyā hai ḳhizāñ ko nisāb-e-gul
sarsar ko dars de ke sabā kar diyā gayā
sūraj se rañg rañg kī kirneñ bikher kar
miTTī kā zard khet harā kar diyā gayā
lahkī azaan bajne lage rāstoñ ke farsh
kirnoñ ko qaid-e-shab se rihā kar diyā gayā
rūh-e-bahār ḳhūn-e-shahīdāñ kā rañg dekh
ḳhāk-e-chaman ko lāla-qabā kar diyā gayā
Top Urdushayar.com