kuchh is tarah se tasavvur meñ aa rahā hai koī
charāġh ruuh meñ jaise jalā rahā hai koī
koī kalīm uThe varna intizār ke ba.ad
charāġh-e-tūr-e-mohabbat bujhā rahā hai koī
vo dair kā thā ki ka.abe kā ye nahīñ ma.alūm
mirī ḳhudī kā muhāfiz ḳhudā rahā hai koī
jo roknā ho to aa baḌh ke rok le varna
tire hudūd-e-taġhāful se jā rahā hai koī
ravāñ-davāñ nahīñ be-vaj.h kārvān-e-hayāt
mujhe zarūr kahīñ se bulā rahā hai koī
badal rahe haiñ jujūn-o-ḳhirad ke paimāne
kis ehtimām-e-taġhayyur se aa rahā hai koī
na kuchh malāl-e-asīrī na ḳhatra-e-sayyād
qafas samajh ke nasheman banā rahā hai koī
zamīn-o-charḳh ne inkār kar diyā jis se
vo baar dosh-e-vafā par uThā rahā hai koī
jahān-e-nau meñ ba-rañg-e-kashākash-e-paiham
hayāt-e-nau ke salīqe sikhā rahā hai koī
ḳhabar karo ye haqā.eq ke pāsbānoñ ko
majāz kho ke haqīqat meñ aa rahā hai koī
na jaane kaun sī manzil meñ ishq hai ki mujhe
mire hudūd se bāhar bulā rahā hai koī
Daro ḳhudā se baḌā bol bolne vaalo
qarīb ham se bhī be-intihā rahā hai koī
mujhe sitam meñ izāfe kā ġham nahīñ lekin
yaqīn kar ki mire ba.ad aa rahā hai koī
nigāh-o-lab meñ hañsī kī sakat nahīñ lekin
ba-jabr-e-ishq-o-vafā muskurā rahā hai koī
ye sub.h-o-shām kī yūrish ye mausamoñ kī ravish
ki jaise mere ta.āqub meñ aa rahā hai koī
kisī ko is kī ḳhabar hī nahīñ thī kuchh 'ehsān'
ki miT ke apnā zamāna banā rahā hai koī