Ehsan Danish

hangama-e-KHudi se tu be-niyaz ho ja

Ehsan Danish

Shamli, Uttar pradesh, India

1915-1982
hañgāma-e-ḳhudī se tū be-niyāz ho jā
gum ho ke be-ḳhudī meñ āgāh-e-rāz ho jā
had bhī to chāhiye kuchh be-e'tinā.iyoñ kī
ġhārat-gar-e-tahammul taskīñ-navāz ho jā
ai sarmadī tarāne har shai meñ soz bhar de
ye kis ne kah diyā hai pāband-e-sāz ho jā
ġhairat kī chilmanoñ se āvāz aa rahī hai
mahv-e-niyāz-mandī aa be-niyāz ho jā
aa mil ke phir banā.eñ mai-ḳhāna-e-mohabbat
maiñ jur.a-kash banūñ tū paimāna-sāz ho jā
siine meñ soz ban kar kab tak chhupā rahegā
unvān-e-rāzdārī tafsīl-e-rāz ho jā
ab so chukī ummīdeñ ab thak chukīñ nigāheñ
jān-e-niyāz-mandī masrūf-e-nāz ho jā
soz-e-nazar se chhalkeñ naġhmāt-e-rāz-e-hastī
ai uqda-e-taġhāful rūdād-e-nāz ho jā
'ehsān' kaash uTTheñ ye rañg-o-bū ke parde
ai mahfil-e-haqīqat bazm-e-majāz ho jā
Top Urdushayar.com