yuuñ na mil mujh se ḳhafā ho jaise
saath chal mauj-e-sabā ho jaise
log yuuñ dekh ke hañs dete haiñ
tū mujhe bhuul gayā ho jaise
ishq ko shirk kī had tak na baḌhā
yuuñ na mil ham se ḳhudā ho jaise
maut bhī aa.ī to is naaz ke saath
mujh pe ehsān kiyā ho jaise
aise anjān bane baiThe ho
tum ko kuchh bhī na patā ho jaise
hichkiyāñ raat ko aatī hī rahīñ
tū ne phir yaad kiyā ho jaise
zindagī biit rahī hai 'dānish'
ek be-jurm sazā ho jaise