jo le ke un kī tamannā ke ḳhvāb niklegā
ba-ijz-o-shauq ba-hāl-e-ḳharāb niklegā
jo rañg baañT ke jaatā hai tinke tinke ko
adū zamīñ kā yahī āftāb niklegā
bharī huī hai ka.ī din se dhund galiyoñ meñ
na jaane shahr se kab ye azaab niklegā
jo de rahe ho zamīñ ko vahī zamīñ degī
babūl bo.e to kaise gulāb niklegā
abhī to sub.h huī hai shab-e-tamannā kī
baheñge ashk to āñkhoñ se ḳhvāb niklegā
mire gunāh bahut haiñ magar taqābul meñ
usī kā lutf-o-karam be-hisāb niklegā
milā kisī ko na 'dānish' kuchh aarzū ke ḳhilāf
pas-e-fanā bhī yahī intiḳhāb niklegā