ye to nahīñ ki tum se mohabbat nahīñ mujhe
itnā zarūr hai ki shikāyat nahīñ mujhe
maiñ huuñ ki ishtiyāq meñ sar-tā-qadam nazar
vo haiñ ki ik nazar kī ijāzat nahīñ mujhe
āzādī-e-gunāh kī hasrat ke saath saath
āzādī-e-ḳhayāl kī jur.at nahīñ mujhe
dūbhar hai garche jaur-e-azīzāñ se zindagī
lekin ḳhudā-gavāh shikāyat nahīñ mujhe
jis kā gurez shart ho taqrīb-e-dīd meñ
is hosh is nazar kī zarūrat nahīñ mujhe
jo kuchh guzar rahī hai ġhanīmat hai ham-nashīñ
ab zindagī pe ġhaur kī fursat nahīñ mujhe
maiñ kyuuñ kisī ke ahd-e-vafā kā yaqīñ karūñ
itnī shadīd ġham kī zarūrat nahīñ mujhe
sajde mire ḳhayāl-e-jazā se haiñ māvarā
maqsūd bandagī se tijārat nahīñ mujhe
maiñ aur de sakūñ na tire ġham ko zindagī
aisī to zindagī se mohabbat nahīñ mujhe
'ehsān' kaun mujh se sivā hai mirā adū
apne sivā kisī se shikāyat nahīñ mujhe