karte karte imtizāj-e-ka.aba-o-but-ḳhāna ham
us jagah pahuñche ki ho kar rah ga.e dīvāna ham
saañs le sakte nahīñ afsos āzādāna ham
jaane kab se haiñ asīr-e-ka.aba-o-but-ḳhāna ham
vo mohabbat hī nahīñ jis meñ na hoñ shikve-gile
ik kahānī tum sunā.e jaao ik afsāna ham
der-pā niklī na fānūs-e-ḳhirad kī raushnī
baḌh ga.ī vahshat bil-āḳhir ho ga.e dīvāna ham
har do-jānib ehtiyāt achchhī hai jab tak ho sake
yuuñ to maiñ āgāh sab tum sham.a ho parvāna ham
ab haqīqat kyā kaheñ kis se kaheñ kyuuñ kar kaheñ
kuchh to dekhā hai ki jis se ho ga.e dīvāna ham
dāman-e-dil shabnam-o-gul se pakaḌ letā hai aag
ḳhilqatan ham haiñ javāb-e-fitrat-e-parvāna ham
pāsbāñ mafhūm-o-ma.anī ko bayāñ karte raheñ
sunñe vaale sun chuke haiñ kah chuke afsāne ham
aa chukā hogā sar-e-tūr-e-vafā muusā ko hosh
ab tujhe taklīf deñge jalva-e-jānāna ham
jīte-jī kī anjuman hai jīte-jī kā soz-o-sāz
ho ga.iiñ jis vaqt band āñkheñ na phir duniyā na ham
ham jo miT jaa.eñ to farq-e-dair-o-ka.aba bhī miTe
ek parda haiñ miyān-e-ka.aba-e-but-ḳhāna ham
iltijā hī iltijā baaqī hai shikva ho chuke
ab mohabbat tum se karte haiñ parastārāna ham
jab vo karte haiñ mohabbat par musalsal guftugū
aisā kuchh mahsūs hotā hai ki haiñ begāna ham