Ehsan Danish

kal raat kuchh ajib saman gham-kade mein tha

Ehsan Danish

Shamli, Uttar pradesh, India

1915-1982
kal raat kuchh ajiib samāñ ġham-kade meñ thā
maiñ jis ko DhūñDhtā thā mire aa.ine meñ thā
jis kī nigāh meñ thiiñ sitāroñ kī manzileñ
vo mīr-e-kā.enāt usī qāfile meñ thā
rahgīr sun rahe the ye kis jashn-e-nau kā shor
kal raat merā zikr ye kis silsile meñ thā
raqsāñ the riñd jaise bhañvar meñ shafaq ke phuul
jo paañv paḌ rahā thā baḌe qā.ede meñ thā
chhiḌkā jise adam ke samundar pe aap ne
sahrā tamām ḳhaak ke us bulbule meñ thā
mannat-guzār-e-ahl-e-havas ho sakā na dil
haa.il mirā zamīr mire rāste meñ thā
hai farz is atā-e-junūñ kā bhī shukriya
lekin ye be-shumār karam kis sile meñ thā
ab aa ke kah rahe ho ki rusvā.ī se Daro
ye baal to kabhī kā mire ā.īne meñ thā
suntā huuñ sar-nigūñ the farishte mire huzūr
maiñ jaane apnī zaat ke kis marhale meñ thā
haiñ sabt mere dil pe zamāne kī Thokareñ
maiñ ek sañg-e-rāh thā jis rāste meñ thā
kuchh bhī na thā azal meñ ba-juz sho.ala-e-vajūd
haañ duur tak adam kā dhuāñ hāshiye meñ thā
maiñ ne jo apnā naam pukārā to hañs paḌā
ye mujh sā kaun shaḳhs mire rāste meñ thā
thī nuqta-e-nigāh tak āzādī-e-amal
parkār kī tarah maiñ ravāñ dā.ere meñ thā
zanjīr kī sadā thī na mauj-e-shamīm-e-zulf
ye kyā tilism un ke mire fāsle meñ thā
ab ruuh e'tirāf-e-badan se hai munharif
ik ye bhī sañg-e-mīl mire rāste meñ thā
'dānish' ka.ī nasheb-e-nazar se guzar ga.e
har riñd aa.ine kī tarah mai-kade meñ thā
Top Urdushayar.com