apnī rusvā.ī kā ehsās to ab kuchh bhī nahīñ
hoñT hī sun haiñ ḳhamoshī kā sabab kuchh bhī nahīñ
ye ujāloñ ke jazīre ye sarāboñ ke dayār
sehr-o-afsūñ ke sivā jashn-e-tarab kuchh bhī nahīñ
bah ga.e vaqt ke sailāb meñ jismoñ ke suhāg
ab na vo chashm na ruḳhsār na lab kuchh bhī nahīñ
reza reza hai kisī ḳhvāb-e-zar-afshāñ kā tilism
fasl-e-gul anjum-o-mahtāb ye sab kuchh bhī nahīñ
mere aañsū inheñ karte haiñ ujāgar kuchh aur
pahle jo log sabhī kuchh the aur ab kuchh bhī nahīñ
ham pe to sub.h se raushan thī ye shām-e-be-kaif
tum ko is shaam se andāza-e-shab kuchh bhī nahīñ
shahr-e-dil shahr-e-ḳhamoshāñ kī tarah hai gunjān
kitnā ābād magar shor-o-shaġhab kuchh bhī nahīñ
ye jahāñ ālam-e-asbāb hai nādāñ na bano
kaun mānegā tabāhī kā sabab kuchh bhī nahīñ
rañg-o-bū gul se mukar jaa.eñ to rahtā kyā hai
aag bujh jaa.e to sūraj kā laqab kuchh bhī nahīñ
ḳhol hī ḳhol hai nau-ḳhez dabistān-e-ḳhayāl
shor hī shor hai taḳhlīq-e-adab kuchh bhī nahīñ
gum raho gum ki yahāñ jurm hai iz.hār-e-kamāl
chup raho chup ki yahāñ nām-o-nasab kuchh bhī nahīñ
merī taḳhrīb se yāroñ kā bhalā kyā hogā
merī pūñjī to ba-juz zauq-e-adab kuchh bhī nahīñ
us taraf vā hai dar-e-rahmat-e-yazdāñ 'dānish'
is taraf vus.at-e-dāmān-e-talab kuchh bhī nahīñ