Ehsan Danish

jabin ki dhul jigar ki jalan chhupaega

Ehsan Danish

Shamli, Uttar pradesh, India

1915-1982
jabīñ kī dhuul jigar kī jalan chhupā.egā
shurū-e-ishq hai vo fitratan chhupā.egā
damak rahā hai jo nas nas kī tishnagī se badan
is aag ko na tirā pairahan chhupā.egā
tirā ilaaj shifā-gāh-e-asr-e-nau meñ nahīñ
ḳhirad ke ghaav tū dīvāna-pan chhupā.egā
hisār-e-zabt hai abr-e-ravāñ kī parchhā.īñ
malāl-e-rūh ko kab tak badan chhupā.egā
nazar kā fard-e-amal se hai silsila darkār
yaqīñ na kar ye siyāhī kafan chhupā.egā
kise ḳhabar thī ki ye daur-e-ḳhud-ġharaz ik din
junūñ se qīmat-e-dār-o-rasan chhupā.egā
tirā ġhubār zamīñ par utarne vaalā hai
kahāñ tak ab ye bagūla thakan chhupā.egā
khulegā bād-e-nafas se jo ruḳh pe nīl-kañval
use kahāñ tirā ujlā badan chhupā.egā
tire kamāl ke dhabbe tire uruuj ke daaġh
chhupā.egā to koī ahl-e-fan chhupā.egā
jise hai faiz mirī ḳhānqāh se 'dānish'
vo kis tarah mirā rañg-e-suḳhan chhupā.egā
Top Urdushayar.com