rindān-e-tishna-kām ko jā kar ḳhabar kareñ
aa.ī bahār abr-e-karam par nazar kareñ
huuñ munfa.il zarūr magar ai gunāh-e-ishq
ab ashk bhī nahīñ haiñ jo dāman ko tar kareñ
be-vaj.h kab hai pursish-e-hāl-e-shab-e-firāq
maqsad ye hai izāfa-e-dard-e-jigar kareñ
fursat ke din haiñ sāqī-e-mai-kash-navāz uTh
kyuuñ intizār-e-mausam-e-dīvāna-gar kareñ
mujh par uThā rahe haiñ jo mahfil meñ uñgliyāñ
apnī haqīqatoñ pe to āḳhir nazar kareñ
ka.abe meñ ḳhāmoshī hai sanam-ḳhāne meñ sukūt
sūrat-parast ab tire sajda kidhar kareñ
uf re jamāl-e-jalva-e-jānāñ kī tābisheñ
dekheñ unheñ ki mātam-e-tāb-e-nazar kareñ
aurāq-e-do-jahāñ pe bhī hogā na iḳhtitām
'ehsān' sarguzasht-e-alam muḳhtasar kareñ