tauba kī nāzishoñ pe sitam Dhā ke pī gayā
''pī''! us ne jab kahā to maiñ ghabrā ke pī gayā
dil hī to hai uThā.e kahāñ tak ġham-o-alam
maiñ roz ke malāl se uktā ke pī gayā
thiiñ laakh garche mahshar o marqad kī uljhaneñ
gutthī ko zabt-e-shauq kī suljhā ke pī gayā
mai-ḳhāna-e-bahār meñ muddat kā tishna-lab
saaqī ḳhatā-muāf! ḳhatā khā ke pī gayā
niyyat nahīñ ḳharāb na aadī huuñ ai nadīm!
''ālām-e-rozgār se tañg aa ke pī gayā''!
saaqī ke husn-e-dīda-e-mai-gūñ ke sāmne
maiñ jalva-e-bahisht ko Thukrā ke pī gayā
uTThā jo abr dil kī umañgeñ chamak uThīñ
lahrā.īñ bijliyāñ to maiñ lahrā ke pī gayā
dil kuchh subūt-e-hifz-e-sharī.at na de sakā
saaqī ke lutf-e-ḳhās pe itrā ke pī gayā