Ehsan Danish

uTTha hun ek hujum-e-tamanna liye hue

Ehsan Danish

Shamli, Uttar pradesh, India

1915-1982
uTThā huuñ ik hujūm-e-tamannā liye hue
duniyā se jā rahā huuñ maiñ duniyā liye hue
muddat se garche jalva-gah-e-tūr se ḳhamosh
āñkheñ haiñ ab bhī zauq-e-tamāshā liye hue
duniyā-e-ārzū se kināra to kar ke dekh
duniyā khaḌī hai daulat-e-duniyā liye hue
roz-e-azal se ishq hai nākām-e-ārzū
dil hai magar hujūm-e-tamannā liye hue
ai kam-nigāh dīda-e-dil se nigāh kar
har zarra hai haqīqat-e-sahrā liye hue
hastī kī sub.h kaun sī mahfil kā hai ma.aal
āñkheñ khulī haiñ hasrat-e-jalva liye hue
din-bhar mirī nazar meñ hai vo yūsuf-e-bahār
aatī hai raat ḳhvāb-e-zuleḳhā liye hue
dil phir chalā hai le ke tire āstāñ kī samt
apnī shikastagī kā sahārā liye hue
vo din kahāñ ki thī mujhe jiine kī aarzū
phirtā huuñ ab to dil kā janāzā liye hue
Top Urdushayar.com