Ehsan Danish

bichhaD kar un se yun gham mein guzari zindagi humne

Ehsan Danish

Shamli, Uttar pradesh, India

1915-1982
bichhaḌ kar un se yuuñ ġham meñ guzārī zindagī ham ne
sahar tārīk dekhī surḳh paa.ī chāñdnī ham ne
hameñ da.avā nahīñ tanhā nibāhī dostī ham ne
mohabbat ko sambhālā hai kabhī tum ne kabhī ham ne
ḳhushī ġham meñ nazar aa.ī ḳhushī meñ ġham nazar aayā
abhī duniyā pe Daalī thī nigāh-e-sarsarī ham ne
baḌī bechārgī niklī bahut hī nārasī paa.ī
azal ke roz baḌh kar le to lī thī bandagī ham ne
jahāñ sāz-e-mohabbat par muġhannī gā nahīñ saktā
vahāñ naġhma alāpā hai kabhī tum ne kabhī ham ne
tumheñ hoge nigāh-e-shauq kā markaz tumhīñ hoge
agar is zindagī ke ba.ad paa.ī zindagī ham ne
hamāre sāmne har-vaqt anjām-e-shikāyat thī
kahī ko an-kahī kar dī sunī ko an-sunī ham ne
bharegī is meñ rañg 'ehsān' duniyā inqilāboñ se
lahū se apne ik tasvīr aisī khīñch diiñ ham ne
Top Urdushayar.com