na jaane sehr ye kyā tū ne chashm-e-yār kiyā
ki maiñ ne hosh ke jaame ko tār-tār kiyā
fusūñ ajiib ye ai mausam-e-bahār kiyā
ki ḳhār-zār ko ham-rañg-lāla-zār kiyā
mahak rahā hai har ik gul kā jāma-e-rañgīñ
sabā ne baaġh meñ kyā zikr-e-zulf-e-yār kiyā
na pūchho pichhle pahar apnī yaad kā aalam
tumhārā zikr sitāroñ se baar baar kiyā
nasīm-e-sub.h ne aa kar vo rāgnī chheḌī
har ek phuul ne kāñTe ko jhuk ke pyaar kiyā
mire jahān-e-mohabbat meñ paḌ ga.ī halchal
sukūn-e-dil ne mujhe aur be-qarār kiyā
bhar aa.e dīda-e-anjum meñ ashk-e-majbūrī
jigar ko thaam ke jab ham ne zikr-e-yār kiyā
taḌap ke ābla-pā ek baar phir uTThe
ye kisī ne tazkira-e-āmad-e-bahār kiyā
guzar chukī haiñ jo 'ehsān' un kī mahfil meñ
unheñ qarār kī ghaḌiyoñ ne be-qarār kiyā