Ehsan Danish

basa-auqat mayusi mein ye aalam bhi hota hai

Ehsan Danish

Shamli, Uttar pradesh, India

1915-1982
basā-auqāt māyūsī meñ ye aalam bhī hotā hai
tabassum kī tahoñ meñ ehtimām-e-ġham bhī hotā hai
ḳhushī tanhā nahīñ aatī jilau meñ ġham bhī hotā hai
jahāñ hañstī haiñ kaliyāñ girya-e-shabnam bhī hotā hai
na.ī tahzīb ke me.amār shāyad us se ġhāfil haiñ
ba-īñ āsār-e-ālam darham-o-barham bhī hotā hai
jo āñkheñ ghūñghaToñ meñ roz ke fāqoñ se pur-nam haiñ
un āñkhoñ meñ fusūn-e-ismat-e-mariyam bhī hotā hai
ba-īmā-e-ḳhirad tum dekhte ho jis ko nafrat se
vo dīvāna ḳhirad kī asl kā mahram bhī hotā hai
rabāb-e-zindagī ke zamzamoñ par jhūmne vaale
har ik naġhme meñ nā-mālūm sā mātam bhī hotā hai
vo insāñ naaz kartā hai jo avval se sharāfat par
bahaktā hai to nañg-e-azmat-e-ādam bhī hotā hai
javānī sail-e-sher-o-bāda-e-naġhma sahī lekin
ye tūfān-e-latāfat ḳhud-baḳhud maddham bhī hotā hai
jise koī samajh le sādgī se hāsil-e-hastī
vo jab hāsil nahīñ hotā to āḳhir ġham bhī hotā hai
tabassum phuul barsātā hai jin rañgīn hoñToñ se
unhī hoñToñ pe ik din nāla-e-paiham bhī hotā hai
ba-juz zāt-e-ḳhudā 'ehsān' koī bhī nahīñ apnā
sunā thā laakh dushman hoñ to ik hamdam bhī hotā hai
Top Urdushayar.com