dil kī raġhbat hai jab aap hī kī taraf
kis liye aañkh uThtī kisī kī taraf
kaisī uljhan he bāzī-gah-e-shauq meñ
ham haiñ in kī taraf vo kisī kī taraf
sirf ashk-o-tabassum meñ uljhe rahe
ham ne dekhā nahīñ zindagī kī taraf
ham jo ġhol-e-bayābāñ se vāqif nahīñ
chal diye duur kī raushnī kī taraf
dair-o-ka.aba se pyāsī jabīneñ liye
aa ga.e ham tirī bandagī kī taraf
raat Dhalte jab un kā ḳhayāl aa gayā
TukTukī bañdh ga.ī chāñdnī kī taraf
jab na qasd-e-ḳhudī ke darīche khule
ahl-e-dil ho liye be-ḳhudī kī taraf
ham ne dil kī lagī un se kī thī bayāñ
baat vo le ga.e dil-lagī kī taraf
jāda-e-āgahī par baḌī bhiiḌ thī
saikḌoñ muḌ ga.e gumrahī kī taraf
haiñ mire halqa-e-ilm meñ bil-yaqīñ
āsmāñ ke payām aadmī kī taraf
un ke jalvoñ kī jānib nazar uTh ga.ī
mauj thī baḌh ga.ī chāñdnī kī taraf
kaun sā jurm hai kyā sitam ho gayā
aañkh agar uTh ga.ī aap hī kī taraf
jaane vo multafit huuñ kidhar bazm meñ
āñsuoñ kī taraf yā hañsī kī taraf
us ke pindār-e-ḳhud-āgahī par na jā
dekh insāñ kī bechārgī kī taraf
apne māhaul meñ kyuuñ añdherā kareñ
der tak dekh kar raushnī kī taraf
maut kī raah āsān ho jā.egī
pyaar se dekhiye zindagī kī taraf
ham junūñ-mañd bhī itne vāqif to haiñ
aql kā ruḳh hai vāraftagī kī taraf
shā.irī kī kisī manzil-e-dard meñ
ik darīcha hai paiġhambarī kī taraf
jaane āñkhoñ ne āñkhoñ se kyā kuchh kahā
zindagī jhuk ga.ī zindagī kī taraf
'dānish' inkār ḳhāliq se hotā nahīñ
dekhtā huuñ maiñ jab aadmī kī taraf